Neetisha Xalxo
Neetisha walks us through the world book fair held recently at Delhi. The theme of the book fair was ‘Mapping India’s folk and tribal literature’. Round Table India welcomes you to see the exhibits through her eyes.
~
taiyaar ho jao adiwasiyon hum tumhe yun hi pardarshaniyon me sajane ki prishtbhumi bana chuke hai. par dhyaan rahe muk rahna pahli shart hai —
sarkaar ka chehra…. ye mapping karenge tribal literature ko… ye satta me tahlte jhoote farebi…. basne aur jine ka haq to aaj ye operation green hunt, salwa judum aur AFSPA ke naam par baithe hai ye gadhenge aadiwasi sahitya
wastav me adiwasi jagat only for display ke saath hi aa sakta hai yanha jaise yanha ye pustakein
saja lo ye nakli ghar dwaar hi adiwasiyon ke naam par… kyunki hafte var ki pardarshni hai aur janha ye ghar the wanha aaj faila hai sannattta —
mitti ka matka tak tod aaye ho tum mere gharon se aur chamkane ke liye dikha diya ye peetal ke gharon ko…. chandni chowk se utha ke
gaushaal me gaay bhains aur bakri nahi… jala diye gaye wo pulisiya kahar me, ya salwa judum ke naam par
suna hai ghar yanha bejaan hai dyodhi… ujra gaon basane chale the na
adiwasi ghar jo chura liye gaye prakriti ke beech se
kavitha mera aasiyana yun bhi par ab yah jharkhand orissa northeast me kanha yah to delhi ki pardarshani ke liye tha jaruri
bana lo ye chori kiye ghar… aur kaho ye hai bhartiya sanskriti… par jinke the unhe kanha rahne diya tumne
dwaar kanha rahne diya tumne ishe mere gaon me .. ujaad le aaye bahlane ke liye man in punjipati ke nirmit sahron me
mere baaje gaaje tum kanha bardaast kar paye
prem kanha dekh paye tum hamare beech ka ?
aaj tambe me dhala, kal na jane kin dhatuon me dhala jaunga. yanha bhi chhuppi dharan karne ka aadesh hai… mukhyadhara se
audi aur bmw ke saamne meri kya bishhaat
suraj ki kirnayen kaafi nahi thi so wanha tak pahunchega, ujiyara bulb ka, saath me pustakon ka, jo unki bhasa me aur matri bhasa me to katai nahi hoga. adiwasi fir bhagega in pustakon se aur guru drona type teacheron se
banega fir wanha ek effiel tower, aadiwasi khoonon se sani dharti par aur videshi ya deshi paryatak aayenge aapke vikshit rrashtra ko dekhne
bastar ke jungalon ko na rahne dene par chidiya ko jo ghosla na mile to wah kuch pustakon ke saath aisa hi karegi
yah wah basta hai janha pustakon ki jagah rakhe jayenge wo hathiyaar jo salwa judum ya fir naxaliyon se adiwasi haathon tak pahunche hai…..
ye chhatishgadh ke wo khadaaan hai janha sama ja rahi hai har wah gyan prampra jo wanha ke adiwasiyon ne payi thi apne hi prakriti se
so called modern art… ye shayad chattishgadh ka indrawati nadi ko baandh ke banaya gaya dam hai jisme adiwasi bachon ke kitaab float kar rahe
posteron me bache rah jayenge ye aadiwasi nritya geet, ya fir bhare me bula kar stage pe nachwana… akhra ke naach jo har din ka tha wah to missing ho gaya hai aaj ki date pe.
mahanagron ke intertainment ke liye ye ghar dwar adiwasiyon ki jivan shaili… dikhana kitna jhoot… kitna makkari se bhara…
jine se bache jab ye aadiwasi to padh paye shayad, ya rach paye sahitya..
ye ghar dwaar to gaon me rahe nahi to ab yun hi mahanagron ke kisi bade hall me aise hi pradarhit karoge hamara ghar…. chattish gadh me bhi to kuch na raha sesh…..
~~~
Neetisha Xalxo is an Assistant Prof (ad hoc) at Maharaja Agrasen College, Delhi University, and a researcher at JNU.
She says: I am from an oraon adiwasi family, a native of Ranchi, Jharkhand. My interest is to see the entire adiwasi India and I want to invest my whole energy and whole life to do something for them. In what form – it’s not decided yet but the area will be my people only.